Posts

Showing posts from September, 2019

Waqt Ki Khwahishen

Waqt ki khwahishen Jo chup rehkar bhi keh gaya Jo din dhup haskar seh gaya Wo bachpana tha kaliyon sa Fir wo waqt ki khwahishen or sab beh gaya Kuch shabdo ka khel raha to kuch palo ka mel bhi Shikaytey to hame bhi thi Ishq k sataye ham bhi Kuch chahatey hamari To kuch khwahishen uski Pagal to tha sara jag uska Masoom muskan thi jiski Fir Wo tirchi najar, unka kahar Wo halki muskan, me besabar Wo kali ghata, julfo ka nagar Uff.. fir wo wakt ki khwashein, or sb be asar Kuch raaj sa tha wo saaz uska Shringar to tha uspr noor uska Kehti thi na hai mohabbat Har muskan me tha ikraar uska Wo mousum tha sardiyo ka Kuch pal me sadiyo ka Wo dhadakan me saanso ka Intezaar tha uski baaho ka Daur bhi aaya uska, mila usse bhi moka Thi karwatein ya silvatein, Ya tha nazro ka dhoka Ab na kisi se nafrat-a-ishq or na kisi se ishq-a-wafa Bas Waqt ki Khwashein, or sb rafaa dafaa