Waqt Ki Khwahishen
Waqt ki khwahishen
Jo chup rehkar bhi keh gaya
Jo din dhup haskar seh gaya
Wo bachpana tha kaliyon sa
Fir wo waqt ki khwahishen or sab beh gaya
Kuch shabdo ka khel raha
to kuch palo ka mel bhi
Shikaytey to hame bhi thi
Ishq k sataye ham bhi
Kuch chahatey hamari
To kuch khwahishen uski
Pagal to tha sara jag uska
Masoom muskan thi jiski
Fir
Wo tirchi najar, unka kahar
Wo halki muskan, me besabar
Wo kali ghata, julfo ka nagar
Uff..
fir wo wakt ki khwashein, or sb be asar
Kuch raaj sa tha wo saaz uska
Shringar to tha uspr noor uska
Kehti thi na hai mohabbat
Har muskan me tha ikraar uska
Wo mousum tha sardiyo ka
Kuch pal me sadiyo ka
Wo dhadakan me saanso ka
Intezaar tha uski baaho ka
Daur bhi aaya uska, mila usse bhi moka
Thi karwatein ya silvatein,
Ya tha nazro ka dhoka
Ab na kisi se nafrat-a-ishq or na kisi se ishq-a-wafa
Bas Waqt ki Khwashein, or sb rafaa dafaa
Comments
Post a Comment