Kuch Baatey

Kuch Baatey..

Kuch batey kisi se keh nahi sakta
Kuch batey khud seh nahi sakta
Kuch batey dil-e-arman hoti hai
Kuch batey dil ka farman hoti hai

Kuch bato ki asmanjas si hai
Kuch bato ki kashmkash si hai
Kuch bate baya hamse hui nahi
Kuch bato se ruh barbash si hai

Kuch batey uski hoti hai
Kuch batey usse hoti hai
Kuch batey wo bin bole samjhti hai
Kuch batey uski unsuljhi si hoti hai

Kuch bato se uski yad aati hai
Kuch bato se dil bahalta hai
Kuch batey dil me sama jati hai
Kuch bato se mann mehkta hai

Kuch batey hai jo wo keh nahi pati
Kuch batey wo samajhe bager reh nahi pati
Kuch bato ka matlab saaf hota hai
Kuch bato ko sunne ka dil talabgar hota hai.

Kuch batey bin sir per ki hoti hai
Kuch batey har sham dopaher ki hoti hai
Kuch batey an-kahi si hoti hai
Kuch batey dil ki dhadkan si hoti hai.

Kuch baatey dilkash bhi hoti hai...
Kuch Baatey fir bhi hoti hai

Kuch Baatey

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

एक जीवन जीनें को यें रचा खेल कैसा हैं?

इस बार गल्ती मेरी नहीं है माँ‌!

Waqt Ki Khwahishen